Top 10 Usefull Apps for students in Hindi



Dosto is post me main aapko Top 10 useful apps ke bare me bata raha hu jo students ko apne Phone me jarur install karna chahiye. Aajkal playstore par bahut se new Apps launch kiye gaye hai jinki help se aapke bahut se kaam asaan ho jate hai.
Agar aap student hai to ye Apps aapko apne phone me jarur rakhne chahiye taki aapki study me help ho sake.

Top 10 Important Apps for students

1. Mathway – Math problem solver
Ye app mathematics ke students ke liye sabse best hai is app ki help se aap math ke questions ko easily solve kar sakte ho.
Agar aap math ke subject me weak ho to ye app aapke liye hi bana hai iska use karke aap Basic math, Linear, Algebra, Trigonometry, calculus and intergration etc. easily sikh sakte ho.
Is app ki sabse achi baat ye hai ki iska use aap bina internet ke bhi kar sakte ho.

Download link

2. Dictionary
Ye ek bahut usefull app hai or students ke phone me iska hona bahut jaruri hai. Iska use karke aap kisi bhi word meaning ko asaani se search kar sakte ho.
Is app me aap words search karne ke liye voice feature ka use kar sakte ho or kisi bhi word ko 30+ languages me translate bhi kar sakte ho.

Download link


3. Clear scanner Free PDF scans
Is app ka use aap kisi bhi Image, Notes Documents ko pdf me convert karne ke liye kar sakte ho.
Ye app apke liye bahut usefull sabit ho sakta hai iska use karke aap Notes and Documents ko pdf me convert karke apne bhi friend ko easily share kar sakte ho.

Download


4. Book summaries
Agar aap literature padhte ho to ye app aapke liye sabse best hai kyonki literature padhne ale students ko bar-bar Important topics ke notes banana padte hai taki vo unko baad me revision kar sake.
Is App me aap apne notes likh kar save kar sakte ho or jab aapka man kare usko open karke padh bhi sakte ho.
Dosto isme Audio ka feature bhi diya gaya hai jiski help se aap apne notes ko sun bhi sakte ho.

Download


5. Google Docs
Dosto aapko iske naam se hi pata chal gaya hoga ki ye Google ka product hai or Google hamesha usefull products hi banata hai.
Is App ka use aap Apni Assignment or projects banana ke liye kar sakte ho. Google Docs bilkul Ms words ki tarah hi hai or in dono ka use Documents create karne ke kiya jata hai lekin Ms words ko ham offline use hai or Google Docs ko online use kiya jata hai.

Download


6. Dropbox
Ab apko apne Important Notes and projects ke kho jane se Darne ki jarurat nahi hai. Aap Dropbox App ki help se apni Important Files (Documents, Photos, Videos) ko online store kar sakte ho or jab chahe apne Document Files ko easily download bhi kar sakte ho.Ye App aapki sabhi Files ko safe rakhta hai.

Download


7. Scribd
Scribd world ki sabse badi online Library hai. Aap is App ki help se apni study ke liye Important Documents and books search karke padh sakte ho.
Scribd App apki study ke liye bahut usefull sabit ho sakta hai ek baar iska use jarur kare.

Download


8. Realcalc Scientific calculater
Is App ke naam se hi aapko iske features ke bare me andaja ho gaya hoga. Agar aap math ke student ho or aapko equations solve karne ke liye hamesha ki jarurat hoti hai to ye app aapke liye hi bana hai.Ye calculater bahut popular hai aajkal iska use bahut se students kar rahe hai.

Download



9. Easybib
Students ko kisi Topic par essay likhne me sabse jyada problem hoti hai. Agar aapko bhi Essay likhna boring or mushkil lagta hai to ye app aapko jarur use karna chahiye.
Is aapko sirf apne Topic ka title submit karna hai or apka Essay Ready ho jayega.
Download



10. Any.do
Is App ka use lakho log kar rahe hai ye app un sabhi students ke liye jaruri hai jo apne tasks ko yaad rakhne ke liye to do list banate taki vo un tasks ko time par complete kar sake.
Download



आपको यह “ Top 10 Usefull Apps for students in Hindi ” कैसे लगे हमें comment करके जरूर बताएं और इस Article को अपने Social media Friends के साथ भी share करें अगर आपको किसी trick के बारे में कोई सवाल पूछना है या इस post के लिए कोई suggestion देना है तो comment करके बताएं

Comments

Popular posts from this blog

Mi/Redmi Phones hard Reset Kaise kare

Vivo Y51/Y51L ko kaise convert kre lte to volte